surat hai wo aisi ki bhulai nahin jati rudad-e-gham-e-hijr sunai nahin jati har subh-e-alam sham-e-sitam ka hai tasalsul kya dil pe guzarti hai batai nahin jati kahti hai dulhan sham ki baalon ko bikhere yun nind bhi aankhon se udai nahin jati chahat pe kabhi bas nahin chalta hai kisi ka lag jati hai ye aag lagai nahin jati aasan nahin hai nai duniya ka basana lekin kabhi tanha ye basai nahin jati ashkon se 'hasan' aag kahin dil ki bujhi hai ye aag to dariya hai bujhai nahin jati