surat se wo bezar hai malum nahin kyun

surat se wo bezar hai malum nahin kyun
dil phir bhi talabgar hai malum nahin kyun

har shakhs ko bakhshi gai tamiz-e-bad-o-nek
har-shakhs ziyan-kar hai malum nahin kyun

ek chiz ki sarmaya-e-rahat hai use log
kahte hain ki aazar hai malum nahin kyun

patta bhi agar hilta hai to us ki raza se
aur banda gunahgar hai malum nahin kyun

din-dar hai zahid ki zaban bhi mera dil bhi
phir muft ki takrar hai malum nahin kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close