surmai sham hai mausam hai suhana aana is se pahle ki main ho jaun fasana aana mujh se pahle hi kai log khafa rahte hain mujh se jal jae zara aur zamana aana ek tera husn gulabon sa ghazal surat hai ek ye sawan ka mahina hai suhana aana roz kahte ho mujhe aaj to ye hai wo hai aaj duniya se koi kar ke bahana aana aakhiri jang main ladne ke liye nikla hun phir rahe ya na rahe tera diwana aana log kahte hain tujhe bhul ke bhi zinda rahun main ne puchha tha magar dil nahin mana aana log to log hain jo chahe wo kah sakte hain tu to mera hai mere dil ko dukha na aana tu bhi shamshir-e-badan mast-ada tir-e-nigah main bhi baitha hun ki ho jaun nishana aana dushman-e-jaan samajhta hai ki tanha hun main main ne dushman ko batana hai ki na na aana muskuraata hun magar dar hai kisi mahfil mein ashk aankhon se na ho jaen rawana aana wo jo masum sa shair hai 'mubarak' 'ahmad' us ka duniya mein faqat tu hai khazana aana