ta-hadd-e-nazar arsh pe phaila jo dhuan hai

ta-hadd-e-nazar arsh pe phaila jo dhuan hai
fariyaad hai matam hai bapa aah-o-fughan hai

darta hun na ho jaen ye patthar meri aankhen
sad-shukr in aankhon mein abhi sail-e-rawan hai

rone se kaleje ko mila karti hai thandak
shabbir sa duniya mein koi gham bhi kahan hai

main hosh mein aaun bhi to kis waste aaun
madhoshi-e-gham hi to meri ja-e-aman hai

yunhi nahin mahfuz hai ye gardish-e-aflak
shabbir ka gham aalam-e-khilqat ki aman hai

matam se jo khulte hain badan par mere chhaale
ye zakhm nahin ye to tahaarat ka nishan hai

is tauq mein gardan ke ayan hai koi inkar
zanjir sambhaale hue aalam ki aman hai

sar pe jo mayassar nahin hai chadar-e-tathir
is zulm-e-yazidi pe falak nauha-kunan hai

nannhi si kali qaid-e-salasil aur yatimi
ai qahr-e-khudawand tu kahan hai tu kahan hai

ye roz ka matam ye aza-dari ye rona
sadqa hai sakina ka jo sinon mein nihan hai

'kazim' yahi bakhshish ka hai saman yahi punji
sine mein mere gham ka jo sailab rawan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close