tabassum mein na dhal jata gudaz gham to kya karte ki ye shoala na ban jata agar shabnam to kya karte luta dete na apni zindagani hum to kya karte nigah-e-lutf ka hota wahi aalam to kya karte yunhi dair-o-haram ki manzilon mein thokaren khate sahaara gar na deti laghzish-e-paiham to kya karte 'hamid' achchha hua khwab-e-tilism-e-arzu tuta ki ye mahfil na ho jati barham to kya karte