qubul kar ke tera gham khushi khushi main ne tere jamal ko bakhshi hai zindagi main ne bas ek nigah-e-tawajjoh pe is tarah khush hun ki jaise daulat-e-kaunain lut li main ne dhadak raha tha mere har-nafas mein dil un ka suni qarib se aawaz dur ki main ne zamana ta-ba-abad un ko bhar nahin sakta jigar pe khae hain wo zakhm-e-dosti main ne tere jamal ki sar-mastiyon mein gum ho kar har ek saat-e-hasti guzar di main ne khuda-e-do-jahan is jurm ko muaf kare udai hai lab-e-gul-rang ki hansi main ne 'hamid' mujh ko zamana bhula nahin sakta bana liya hai mohabbat ko zindagi main ne