taghaful be-niyazi ka gila kafi nahin hai

taghaful be-niyazi ka gila kafi nahin hai
mera rasta hi roko ab sada kafi nahin hai

ye gahri kali aankhen dekh to kya kah rahi hain
inhen paband rakhne ko wafa kafi nahin hai

tumhaare kasa-e-ulfat mein kuchh sikke uchhaale
tumhaara dil lubhaya ye sila kafi nahin hai?

zamini baat hai thahregi aakhir justuju par
hamesha sath rahne ki dua kafi nahin hai

nibhana hai bahar-surat ye karobar-e-duniya
ki ishq-o-ashiqi ka silsila kafi nahin hai

chalo achchha hua raftar to kam ho gai par
bichhad jaane ko ab bhi fasla kafi nahin hai

jamal-e-kaenati moajiza hai husn-e-kun ka
yahan par irtiqa ka falsafa kafi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close