tai ho saka na fasla lambi uDan se

tai ho saka na fasla lambi udan se
main dher ho ke rah gaya aakhir takan se

us be-gunah ki chikh ne kya kuchh nahin kaha
par log chhup ke dekh rahe the makan se

tufan-e-sad-zawal se kashti bachaiye
khatra na talne wala hai ye baadban se

rishton ki bhid-bhad se wo bhi alag hua
main bhi najat pa gaya wahm-o-guman se

ji chahta hai sari thakan odh lun 'sahar'
aakhir main aur kitna ladun jism o jaan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close