tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna

tai hua hai us taraf ki rahguzar ka jagna
mere panw mein kisi lambe safar ka jagna

bolte the kya parinde se dar-o-diwar par
yaad hai ab bhi mujhe wo apne ghar ka jagna

ab kahan mausam hai wo dar-o-rasan ka dosto
ab kahan ushshaq ke shanon pe sar ka jagna

warna mujh ko dhup ka sahra kabhi na chhodta
aa gaya hai kaam mere ek shajar ka jagna

ek purani aarzu thahri ujalon ki talab
ek purana khwab thahra hai sahar ka jagna

aasman khulte gae mujh par zaminon ki tarah
ek lamhe ke liye tha baal-o-par ka jagna

main 'nabil' is khauf se ek umr soya hi nahin
zindagi-bhar ka hai sona lamha-bhar ka jagna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close