tajraba jo bhi hai mera main wahi likhta hun main tasawwur ke bharose pe nahin baitha hun jab main bahar se bada sakht nazar aaunga tum samajhna ki main andar se bahut tuta hun jis ki khushbu mujhe mismar kiya karti hai main usi qabr pe phulon ki tarah khilta hun barha jism ne phir zehan ne becha hai mujhe kya main qudrat ki dukanon mein rakha sauda hun mera tuta hua chashma hi bharosa hai mera apni aankhon se apahij main koi bachcha hun dubta dekh raha hun main khudi mein khud ko dil ki ek bench pe baitha hua main hansta hun