taklif-e-iltifat-e-gurezan kabhi kabhi

taklif-e-iltifat-e-gurezan kabhi kabhi
yun bhi hui hai pursish-e-pinhan kabhi kabhi

meraj-e-did jalwa-e-jaanan kabhi kabhi
hum bhi rahe hain nazish-e-dauran kabhi kabhi

ye aur baat rabt-e-musalsal na kah saken
chuma hai hum ne daman-e-jaanan kabhi kabhi

naqsh-e-khayal aap ki taswir ban gaya
ye moajiza hua hai numayan kabhi kabhi

bandi-nawazi-e-karam-e-gah gah se
hum bhi the kainat-badaman kabhi kabhi

laghzish ki baat wirsa-e-adam ki baat hai
khata hai thokaren dil-e-insan kabhi kabhi

karwat badal gai hai teri waza-e-iltifat
dekha hai ye bhi khwab-e-pareshan kabhi kabhi

ye sar-kashi ke nam se mansub hi sahi
hota hai dil bhi sar-ba-gareban kabhi kabhi

aksar nashat-e-sair-e-gulistan-e-be-khizan
andaza-e-fareb-e-bahaaran kabhi kabhi

mere labon pe mauj-e-tabassum ke bawajud
gham ho gaya hai rukh se numayan kabhi kabhi

kahna pada hai jalwa-e-sad-rang rokiye
nazren hui hain itni pareshan kabhi kabhi

khud apne aas-pas andheron ko dekh kar
ghabra uthi hai subh-e-bahaaran kabhi kabhi

daman bacha ke hum to guzar jaen ai 'uruj'
khud chhedti hai gardish-e-dauran kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close