talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

talkhaba-e-gham khanda-jabin ho ke piye ja
mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja

mayus na ho be-rukhi-e-chashm-e-jahan se
shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja

shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi
taqdir-e-khirad-soz ko ilzam diye ja

auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho
tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja

har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae
tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja

is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi padega
be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja

saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar'
pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close