tamam aalam se moD kar munh main apne andar sama gaya hun

tamam aalam se mod kar munh main apne andar sama gaya hun
mujhe na aawaz de zamane main apni aawaz sun raha hun

tazad-e-hasti ka falsafa hun uruj o pasti ka aaina hun
utha hua ek ghurur-e-sar hun mita hua ek naqsh-e-pa hun

ho kya tayyun meri hadon ka shumar kya meri wusaton ka
hazaron aalam base hain mujh mein main behad-o-be-karan khala hun

azab-e-ehsas-o-agahi ke wo dil-shikan khwab-pash lamhe
hazar aaine tutte hain main jab bhi aaina dekhta hun

main na-shunida sada-e-sahra banunga aawaz-e-waqt 'kaifi'
zaban-e-alam pe aaunga kal main aaj ek harf-e-narsa hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close