tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat

tamam duniya mein dhund aaya main gum-shuda zindagi ki surat
mili to mujh ko hayat-e-muztar magar mili ajnabi ki surat

sabaq hai sikha hum ahl-e-dil ne ye ijz ki sar-bulandiyon se
ki ek sajda hai kafi lekin ho bandagi bandagi ki surat

ajib dastur-e-ashiqi hai na main hi main hun na tum hi tum ho
na dosti dosti ki surat na dushmani dushmani ki surat

khabar tasawwur khayal iman guman yaqin fikr ilm hikmat
maqam-e-khud-agahi ke aage sawad-e-kam-agahi ki surat

barahna-sar aabla-gazida shikasta-dil pairahan-darida
maqam-e-sidra pe soch mein hun koi hai parda-dari ki surat

mila sar-e-rah khud se jab main ajib hi apna haal dekha
kisi ki aankhen kisi ka chehra nazar kisi ki kisi ki surat

na puchh mujh se ki main kahan hun mujhe to kuchh bhi pata nahin hai
ki apni surat mein aa rahi hai nazar mujhe har kisi ki surat

ye sach hai duniya mein aur honge jamil-o-khush-ru hasin-o-dilbar
pasand aai magar hamein to janab-e-man aap ki hi surat

na jaane kab se khada tha 'sarwar' ek aastin-e-umid thame
wo nikla khud se hi ghair-hazir hui ajab haziri ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close