tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha

tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha
nuzul kaisi qayamat ka hone wala tha

yahan to aag ugalti hai ye zamin har su
wo ek abr ka para kahan pe barsa tha

bas ek bar hua tha wajud ka ehsas
bas ek bar dariche se us ne jhanka tha

abhi dasa na gaya tha ye jism tapta hua
abhi khazina-e-makhfi pe sanp soya tha

safar mein sar pe teri dhun to thi sawar magar
nigah mein koi manzil na koi rasta tha

ye qatra bahr-e-maani hai maujzan jis mein
qalam ki nok se pahle kabhi na tapka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close