tamam umr jale aur raushni nahin ki

tamam umr jale aur raushni nahin ki
ye zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki

sitam to ye hai ki mere khilaf bolte hain
wo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki

jo dil mein aata gaya sidq-e-dil se likhta gaya
duaen mangi hain main ne to shaeri nahin ki

bas itna hai ki mera bakht dhal gaya aur phir
mere charagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki

meri sipah se duniya larazne lagti hai
magar tumhaari to main ne barabari nahin ki

kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim'
sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close