tamannaon mein uljhe rah gae hain hamare bachche budhe rah gae hain wo aankhen kitna aage ja chuki hain samundar kitna pichhe rah gae hain abhi tanha wo guzri hai yahan se hazaron dil dhadakte rah gae hain jinhen banhon mein bhar kar so rahi ho bahut achchhe wo takiye rah gae hain ba-zahir ek naya-pan aa chuka hai magar ye dil purane rah gae hain ye kis ne khwab se aa kar jagaya hum us ko chhute chhute rah gae hain kisi ko bagh hasil ho chuke hain kahin angur khatte rah gae hain