tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur

tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur
chakhne ka maza aur hai pine ka maza aur

donon hi bina-e-kashish-o-jazb hain lekin
naghmon ki sada aur hai nalon ki sada aur

ai fitrat-e-gham zist hi kya kam thi musibat
nazil hui is par ye mohabbat ki bala aur

takra ke wahin tut gae shisha-o-saghar
mai-khwaron ke jhurmut mein jo saqi ne kaha aur

wo khud nazar aate hain jafaon pe pasheman
kya chahiye ab tum ko 'shakil' is ke siwa aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close