tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum

tang aa gae hain kya karen is zindagi se hum
ghabra ke puchhte hain akele mein ji se hum

majburiyon ko apni kahen kya kisi se hum
lae gae hain, aae nahin hain khushi se hum

kam-bakht dil ki man gae, baithna pada
yun to hazar bar uthe us gali se hum

yarab! bura bhi ho dil-e-khana-kharab ka
sharma rahe hain is ki badaulat kisi se hum

din hi pahad hai shab-e-gham kya ho kya na ho
ghabra rahe hain aaj sar-e-sham hi se hum

dekha na tum ne aankh utha kar bhi ek bar
guzre hazar bar tumhaari gali se hum

matlab yahi nahin dil-e-khana-kharab ka
kahne mein us ke aaen guzar jaen ji se hum

chheda adu ne ruth gae sari bazm se
bole ki ab na baat karenge kisi se hum

tum sun ke kya karoge kahani gharib ki
jo sab ki sun raha hai kahenge usi se hum

mahfil mein us ne ghair ko pahlu mein di jagah
guzri jo dil pe kya kahen 'bismil' kisi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close