tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha

tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha
kya mujh sa jawan aag mein jalne ke liye tha

kya katib-e-taqdir se zakhmon ki shikayat
jo tir tha tarkash mein so chalne ke liye tha

jalta hai mere dil mein pada dagh ki surat
jo chand sar-e-arsh nikalne ke liye tha

is jhil mein tujh se bhi koi lahr na uthi
aur tu meri taqdir badalne ke liye tha

mayus na ja aa gham-e-dauran mere nazdik
tu hi meri banhon mein machalne ke liye tha

ye dasti hui raat guzar jaegi yaro
wo hansta hua din bhi to dhalne ke liye tha

kuchh aanch mere lams ki garmi se bhi pahunchi
wo barf sa paikar bhi pighalne ke liye tha

tafriq ne mulkon ki tarashe hain aqaed
insan bas ek rah pe chalne ke liye tha

zinda hai meri fikr mere karb se 'zulfi'
ye phul isi shakh pe phalne ke liye tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close