Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga
ab aa gaya hun to is shahar se na jaunga

kashish hai ghar mein na bahar ki raunaqen baqi
yunhi raha to kahan ja ke muskuraunga

ye gili gili si khushbu ye narm narm nigah
tumhaare pas raha main to bhig jaunga

basa sako to basa lo mujhe khayalon mein
ki is dayar mein dobara main na aaunga

qadam samet ke chalna bhi sikh jaoge
tumhein main ganw ki pagdandiyan dikhaunga

chala tha dhundne main zindagi ki buniyaaden
pata na tha ki khud apna pata na paunga

na hunga main to meri dastan hogi 'nazar'
zamin pe dhup ki surat main phail jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close