tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya charagh-e-khud-kalami ka dhuan bazar tak aaya hua kaghaz musawwar ek paigham-e-zabani se sukhan taswir tak pahuncha hunar purkar tak aaya abas tarik raste ko tah-e-khurshid-e-jaan rakkha yahi tar-e-nafas aazar se paikar tak aaya mohabbat ka bhanwar apna shikayat ki jihat apni wo mehwar dusra tha jo mere pindar tak aaya ajab chehra safar ka tha hawas ke zard pani mein qadam daldal se nikla to khat-e-raftar tak aaya phir is ke baad tambur o alam na-mo'tabar thahre koi qasid na is sham-e-shikast-asar tak aaya