tar ki jhankar hi se bazm tharra jae hai gahe gahe saz-e-hasti yun bhi chheda jae hai qafila chhute zamana ho gaya lekin hanuz yaad-e-awaz-e-jaras rah rah ke tadpa jae hai khud zamana rukh hamara dekhta hai hum nahin jis taraf mudte hain hum dhaara bhi mudta jae hai sar jo gardan par nahin to kya hatheli par sahi manzil-e-ishq-o-junun se yunhi guzra jae hai hum kahan dube the ye kal puchiyega aaj to kuchh talatum sa abhi maujon mein paya jae hai aql walo kuchh kaho ye rishta-e-raaz-e-hayat kyun ulajhta jae hai jitna ki khulta jae hai aa raha hun dosto thahro magar ye to batao mujh ko kis goshe se sahra ke pukara jae hai