tarah tarah se wazahat ki baat ki usne

tarah tarah se wazahat ki baat ki us ne
ghuma-phira ke mohabbat ki baat ki us ne

hawaon se bhi kaha khwab dekhne ke liye
charagh se bhi suhulat ki baat ki us ne

fasurdagi ko fasane ka rup dete hue
hikayaton se haqiqat ki baat ki us ne

mujhe gawah zarurat hai is adalat mein
kabhi kisi se niyabat ki baat ki us ne

wo yun jo lautna chahe use suhulat ho
diya bujha ke himayat ki baat ki us ne

tamam sarw nigun-sar the pahadon par
achanak us qad-o-qamat ki baat ki us ne

pade hi rah gae 'jawed' hum burida qadam
gale laga ke jo rukhsat ki baat ki us ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close