tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge

tariki mein nur ka manzar suraj mein shab dekhoge
jis din tum aankhen khologe duniya ko jab dekhoge

dhire dhire har jaanib sannata sa chha jaega
so jaengi rafta rafta aawazen sab dekhoge

khambe sare tut chuke hain chhappar girne wala hai
buniyaadon par jine walo upar tum kab dekhoge

shayad tum bhi mere jaise ho jaoge aankhon se
sahme chehre gung zabanen zard badan jab dekhoge

wo to bazigar hain un ka maqsad khel dikhana hai
tum to farzane ho sahib kab tak kartab dekhoge

pahle to sarsabz rahoge phir pile pad jaoge
jis din tum bhi rang-nagar mein surkh koi lab dekhoge

baithe baithe ghar mein yun hi pal pal ghut ghut marna hai
ya nikaloge ghar aangan se jine ka dhab dekhoge

kal tak jo shaffaf the chehre aawazon se khali the
aadi-tirchhi surkh lakiren un par bhi ab dekhoge

khambe to ye gad chuke hain rassi bhi ab tanenge
ye bhi khel hi khulenge in ke bhi kartab dekhoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close