tarikiyon mein jal ke wo qindil ki tarah

tarikiyon mein jal ke wo qindil ki tarah
sahra-badan se guzri hai ek jhil ki tarah

kal raat mere jism ne mahsus ki thakan
do-gam ke safar mein kai mel ki tarah

be-tal ka ilaqa hai chalna sambhaal kar
ulte latak na jao ababil ki tarah

kal raat mujh pe hamla kiya ek khwab ne
murda badan pe bhuki kisi chil ki tarah

main tha nashe mein raat koi ru-ba-ru to tha
lagta tha khadd-o-khal se jibril ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close