tarz mere rizq ki thoDi badal jaane ke baad

tarz mere rizq ki thodi badal jaane ke baad
ibtida karta hun din ki din ke dhal jaane ke baad

phir chali jati hai dariya ki khuli aaghosh mein
mauj-e-sahil par khadi do-pal machal jaane ke baad

main yun hi us ko bhula dene ke dhoke mein raha
dil hi mein tha wo mere dil se nikal jaane ke baad

kaam apna munh andhere khatm kar leti hai raat
ek siyahi subh ke chehre pe mal jaane ke baad

ghumne phirne de us ko ek udasi mein abhi
khud haqiqat jaan lega kuchh sambhal jaane ke baad

moajiza fan ka yahi hai aur yahi mera kamal
phir se ji uthta hun ek aatish mein jal jaane ke baad

rok rakkha hai mujhe 'shahin' zamistan ne kahin
chal padunga barf thodi si pighal jaane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close