tasawwur ko jaga rakkha hai us ne daricha nim wa rakkha hai us ne zara sa phul mere bagh mein hai bahut kuchh mawara rakkha hai us ne bina dekhe gawahi mangta hai sawal apna juda rakkha hai us ne mere hone se khud mera talluq ba-rang-e-intiha rakkha hai us ne mita deta hai har taswir meri mujhe apna bana rakkha hai us ne hamari pyas qatron mein likhi hai magar dariya baha rakkha hai us ne ye suraj chand taron ka zamana bas ek lamha jala rakkha hai us ne banawat barmala phulon ki surat ki khushbu ko chhupa rakkha hai us ne khadi hai rah roke khud-farebi mujhe wapas bula rakkha hai us ne hawa ka hai na pani ka karishma nafas ko khud jala rakkha hai us ne mujhe be-nam kar deta hai 'ahmad' ki nam apna khuda rakkha hai us ne