tawil soch hai aur mukhtasar lahu mera garan safar mein hai zad-e-safar lahu mera wo raunaqen bhi gain us ke khushk hote hi sajata rahta tha diwar-o-dar lahu mera har ek lamha mujhe zindagi ne qatl kiya tamam umr raha mere sar lahu mera dayar-e-ghair ko mahka gaya hina ban kar ye waqia hai raha be-hunar lahu mera wo ruh thi jise ahd-e-wafa ka pas na tha kabhi na chhod saka apna ghar lahu mera ujal denge andheron ki ye jabin ek din bikherta hai kuchh aise sharar lahu mera rawan hai qafila-e-fikr su-e-dasht-e-junun dikha raha hai use rahguzar lahu mera rawani likhti rahi jin ka nam aath pahar wahin bahaya gaya khak par lahu mera na jaane kaun si rut aa gai 'umid' ab ke chhupa na pai meri chashm-e-tar lahu mera