taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein

taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein
teri khushbu shamil hai rozana ke mehmanon mein

kaisi kaisi basti ujdi ahl-e-khirad ke hathon se
diwanon ne shahr basae ja kar registanon mein

apne aansu dafn hue hain aankh ki gili qabron mein
apni chikhen qaid rahi hain zehnon ke zindanon mein

us ke rup ki dhup ka saya chhanw bichhate pedon par
us ki shokh hansi ka charcha shahr ke qahwa khanon mein

dhund to ponchhi bhi ja sakti hai chashme ke shishon se
waqt ki rakh padi rahti hai thande aatish-danon mein

pairon se takraate hain jab jhonke sard hawaon ke
hath larazne lag jate hain chamde ke dastanon mein

tanhai ka bhaari patthar ek zara sa sarka hai
kadiyon ki aawaz padi hai ek qaidi ke kanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close