tegh-e-pur-KHun wo agar dhoe kanar-e-dariya

tegh-e-pur-khun wo agar dhoe kanar-e-dariya
khanda-zan rang-e-chaman par ho bahaar-e-dariya

atash-e-ishq ki lazzat ye mili hai hum ko
ja giren aag mein aur hon na dochaar-e-dariya

durra-e-mauj lagata hai use be-taqsir
kyun na ho lasha mera shikwa-guzar-e-dariya

surkhi-e-aks-e-shafaq par jo pada lab ka guman
lal-o-yaqut kiye hum ne nisar-e-dariya

nakhl-e-khwahish jo nahin hota hai is se sarsabz
girya karta hai mera khanda ba-kar-e-dariya

machhliyan lakht-e-jigar banti hain dariya aansu
kis gul-e-tar ko hua shauq-e-shikar-e-dariya

kya gul-andam koi is mein nahaya tha jo aaj
rag-e-gul se hain moattar khas-o-khar-e-dariya

kis ki zulf-e-araq-afshan ka tasawwur hai unhen
lipte hi jate hain bahron se jo mar-e-dariya

sail-e-afat mein tan dete hain jo ai 'ghafil'
misl-e-khashak wo rahte hain sawar-e-dariya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close