tegh shamshir ya khanjar ki zarurat kya hai jang jab khud se ho lashkar ki zarurat kya hai jis ne samjha mujhe bahar se hi samjha sahab kis ko malum ki andar ki zarurat kya hai gar tera qurb mayassar ho to ai jaan-e-ada sard raaton mein bhi bistar ki zarurat kya hai bewafai ka teri zakhm koi kam to nahin chot deni ho to patthar ki zarurat kya hai qaid rakhta hai jo tufan ko apne andar aise qatre ko samundar ki zarurat kya hai us ko sajda to zamin arsh sabhi karte hain us ke qadmon ko mere sar ki zarurat kya hai