tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise

tera khayal tha lafzon mein dhal gaya kaise
dilon mein sham-e-ghazal ban ke jal gaya kaise

wo aadmi jo mera dost tha zamane tak
pata nahin ki yakayak badal gaya kaise

bahut hi tez hawa sher-e-hadsat ki thi
main girte girte na jaane sambhal gaya kaise

kahin bhi aag lagane ka waqia na hua
to phir huzur makan mera jal gaya kaise

khalish se jis ki thi wabasta yaad manzil ki
wo khar panw se 'khusraw' nikal gaya kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close