tere dil se utar chuka hun main aisa lagta hai mar chuka hun main ab mujhe kis tarah sametoge reza reza bikhar chuka hun main teri be-e'tinaiyon ke sabab zarf kahta hai bhar chuka hun main tujh ko sari duaen lag jaen ab to jine se dar chuka hun main ek gham aur muntazir hai mera ek gham se guzar chuka hun main tujh ko nafrat se hi nahin fursat chahaton main sanwar chuka hun main aaina ab nahin hai gard-alud ro chuka hun nikhar chuka hun main khud se ladna bahut hi mushkil hai teri khatir ye kar chuka hun main ab to bahar nikal pani se dekh ab to ubhar chuka hun main