tere farq-e-naz pe taj hai mere dosh-e-gham pe galim hai teri dastan bhi azim hai meri dastan bhi azim hai meri kitni sochti subhon ko ye khayal zahr pila gaya kisi tapte lamhe ki aah hai ki khiram-e-mauj-e-nasim hai tah-e-khak kirmak-e-dana jo bhi sharik-e-raqs-e-hayat hai na bas ek jalwa-e-tur hai na bas ek shauq-e-kalim hai ye har ek samt masafaton mein gundhi padi hain jo saaten teri zindagi meri zindagi inhi mausamon ki shamim hai kahin mahmalon ka ghubar ude kahin manzilon ke diye jalen kham-e-asman rah-e-karwan na maqam hai na muqim hai haram aur dair fasana hai yahi jalti sans zamana hai yahi gosha-e-dil-e-na-subur hi kunj-e-bagh-e-naim hai