tere jamal se hum runuma nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhadak raha hai tu ek ism ki hai ye barakat wagarna waqiye is dil mein kya nahin hue hain bata na paen to khud tum samajh hi jao ki hum bila jawaz to be-majra nahin hue hain tera kamal ki aankhon mein kuchh zaban pe kuchh hamein to moajize aise ata nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi hum ahl-e-junun lab-kusha nahin hue hain ba-nam-e-zauq-e-sukhan khud-numai aap karen hum is maraz mein abhi mubtala nahin hue hain hami wo jin ka safar mawara-e-waqt-o-wajud hami wo khud se kabhi jo riha nahin hue hain khud-agahi bhi khadi mangti hai apna hisab junun ke qarz bhi ab tak ada nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaya kabhi to hum 'irfan' udas ho gae lekin khafa nahin hue hain