tere KHayal, tere KHwab, tere nam ke sath

tere khayal, tere khwab, tere nam ke sath
bani hai khak meri kitne ehtimam ke sath

bahut se phul the aur sare achchhe rangon ke
saba ne bheje the jo kal tere payam ke sath

nazar thaharti na thi us pe aur khud par bhi
main aaine mein thi kal ek lala-fam ke sath

tere khayal se raushan hai sar-zamin-e-sukhan
ki jaise zinat-e-shab ho mah-e-tamam ke sath

phir aa gai hai mere dar pe kya wahi duniya?
main kar ke aai thi rukhsat jise salam ke sath

suna hai phul jhade the jahan tere lab se
wahan bahaar utarti hai roz sham ke sath

khushi ke waste kab koi din muqarrar tha
magar ye dil mein ruki hai tere khiram ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close