tere KHayal se phir aankh meri pur-nam hai

tere khayal se phir aankh meri pur-nam hai
ki gham ziyaada hai aur hausla mera kam hai

baqa ke waste sadiyon se jang jari hai
fana ke shor-sharabe se nak mein dam hai

nahin to kab ka mukammal main ho chuka hota
jise main apna samajhta hun us mein kuchh kam hai

ajib daur hai ye daur mary mushkil ka
sawal mein hai na koi jawab mein dam hai

main jis ko dhund raha hun kai zamanon se
mujhe ho ilm ki wo meri zat mein zam hai

namaz padhta hun aur us ko yaad karta hun
mere khayal mein ek panchwan bhi mausam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close