tere KHulus ke qisse suna raha hun main

tere khulus ke qisse suna raha hun main
purana qarz hai ab tak chuka raha hun main

khuda kare ki wahi baat us ke dil mein ho
jo baat kahne ki himmat juta raha hun main

safar kahan se kahan tak pahunch gaya mera
ruke jo panw to kandhon pe ja raha hun main

samaaton ke sabhi dar yahan muqaffal hain
na jaane kab se sadaen laga raha hun main

laga hun aaj hifazat mein khud charaghon ki
kai dinon to mukhalif hawa raha hun main

ye aql, hosh, nazar, khwab, lams, goyai
lo aaj daw pe sab kuchh laga raha hun main

ki jab bhi chahen unhen dhund len meri aanhken
is ehtiyat se manzar saja raha hun main

mere baghair koi tum ko dhundta kaise
tumhein pata hai tumhaara pata raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close