tere liye to mere pas bas dua hai yar tu is zamin pe bahut uncha ud raha hai yar ye khidkiyan to mujhe aur kah rahi hain kuchh samajh mere dil nadan ye hua hai yar ye duniya-dar mujhe kis tarah se dekhte hain ki ye bashar hai farishta hai dewta hai yar agar ye shauq nahin hai to kya hai batla de tu kis liye mujhe khidki se jhankta hai yar tu jis ko dhund raha hai tujhe milega nahin wo shakhs mujh se kahin kab ka ja chuka hai yar ye tirgi ki hain aankhen ki hijr ki lau hai jo jal raha hai wahan samne diya hai yar tu jaana chahta hai to tujhe ijazat hai magar pata to chale main ne kya kaha hai yar