tere sath chehre hain mere sang aaina

tere sath chehre hain mere sang aaina
dekh aaj hota hai kis pe tang aaina

bol khud-shanasi phir kis tarah se mumkin ho
pesh kar raha ho jab sat rang aaina

khud-parastiyon ne bhi khub raushni bakhshi
ban gaya andheron mein ek sang aaina

lakht-lakht aawazen fard fard pahchanen
shor shor khamoshi wajh-e-jang aaina

tere shahr ka qissa mere shahar ki gatha
saf saf dhundhlahat zang zang aaina

koi sa bhi paikar ho is ko dar nahin lagta
kyun ki apni fitrat se hai dabang aaina

mushtahar huin jab bhi ujli khwahishen 'parwez'
kholta nazar aaya ang ang aaina


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close