tere shahr-e-amn ka kya kahen ki har ek makan juda sa hai

tere shahr-e-amn ka kya kahen ki har ek makan juda sa hai
hain daron pe qufl lage hue sar-e-taq dip bujha sa hai

tera dasht bhi to hai be-karan meri wahshaton ki bhi had nahin
mere jurm-e-khana-kharab ko to ye rahguzar bhi dilasa hai

teri yaad aai to kis tarah main pukarta hi chala gaya
koi dam ruka to khabar hui ki ye koh koh-e-nida sa hai

meri ghairat-e-hama-gir ne mujhe tere dar se utha diya
kuchh ana ka zor jo kam hua to khabar hui tu khuda sa hai

abhi la ki manzil-e-sakht mein hun fareb-o-wahm-o-guman liye
mere dil mein phir bhi basa hua tera nam radd-e-bala sa hai

ye masafaten shab-e-tar ki ye na khatm hone ke silsile
abhi fasla rag-e-jaan se hai to hanuz garche zara sa hai

tere khatt-e-husn-e-jamal ko mere harf-e-aina-saz ne
kai rang de diye pur-kashish magar ab bhi ek khala sa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close