tere suluk ka gham subh-o-sham kya karte zara si baat pe jina haram kya karte ki be-adab ka bhala ehtiram kya karte jo nastik tha use ram-ram kya karte wo koi 'mir' hon 'ghaalib' hon ya 'anis'-o-'dabir' sukhan-wari se bada koi kaam kya karte na nind aankhon mein baqi na intizar raha ye haal tha to koi nek kaam kya karte mizaj mein tha takabbur to harkaton mein ghurur phir aise shakhs ko hum bhi salam kya karte 'rais' khu-e-wafa ne hamein rulaya hai phir is chalan ko bhala hum bhi aam kya karte