teri aankhen na rahin aaina-KHana mere dost

teri aankhen na rahin aaina-khana mere dost
kitni tezi se badalta hai zamana mere dost

jaane kis kaam mein masruf raha barson tak
yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mere dost

puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai
aaina ban ke mera dil na dukhana mere dost

is mulaqat mein jo ghair-zaruri ho jae
yaad rahta hai kise hath milana mere dost

dekhna mujh ko magar meri pazirai ko
apni aankhon mein sitare na sajaana mere dost

ab wo titli hai na wo umr taaqub wali
main na kahta tha bahut dur na jaana mare dost

hijr taqdir mein likkha tha ki majburi thi
chhod is baat se kya milna milana mere dost

tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko
warna main kya tha haqiqat na fasana mere dost

is kahani mein kise kaun kahan chhod gaya
yaad aa jae to mujh ko bhi batana mere dost

chhod aaya hun hawaon ki nigahbani mein
wo samundar wo jazira wo khazana mere dost

aise raston pe jo aapas mein kahin milte hon
kyun na us mod se ho jaen rawana mere dost


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close