teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai

teri barbaadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai
kahan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahan tak hai

tu kya jaane mohabbat ke maze ai naseh-e-nadan
pahunch teri nigahon ki faqat sud-o-ziyan tak hai

hum insan hain magar takhliq-e-ala hain ki ai hamdam
hamare auj ka charcha zamin se aasman tak hai

mohabbat aazmati hai mohabbat karne walon ko
ye sakhti ai dil-e-betab tujh par imtihan tak hai

jahan mein waise to jite hain sab lekin jo sach puchho
maza jine ka duniya mein bahaar-e-dostan tak hai

koi jab dost kahta hai to sun leta hun ai 'asi'
ki ab to dosti is ahd mein husn-e-bayan tak hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close