teri nigah-e-naz jo nawak-asar na ho taklif-e-chaara-sazi-e-zakhm-e-jigar na ho mujh se bhi kuchh siwa hai unhen meri aarzu ye shauq wo nahin jo udhar ho idhar na ho main aur mujh ko wada-e-didar ki umid wo chahta hun aaj ki jo umr bhar na ho ai barq-e-husn-e-yar zara chashm-e-iltifat yun jal bujhun ki mujh ko bhi meri khabar na ho kabe mein hai nishan na kahin dair mein pata teri gali mein 'muztar'-e-ashufta-sar na ho