teri talab mein yahan tak KHarab haal hua

teri talab mein yahan tak kharab haal hua
ki main jahan-e-mohabbat mein ek misal hua

mere qarib se aksar wo is tarah guzra
nigah bhar ke use dekhna muhaal hua

wo log jin ki rifaqat kabhi na ras aai
hue jo dur to dil ko bahut malal hua

mujhe khabar hai ki wo peshtar na tha aisa
meri wafa se jafa ka use khayal hua

dukhon se apni tabiat thi kis qadar bojhal
baras gain ye ghataen to ji bahaal hua

tawil the jo wahi fasle simat se gae
mera sharik-e-safar jab tera khayal hua

guzarne walon ke qadmon se paemal hua
main ek naqsh-e-sar-e-rah-guzar tha 'khawar'

guzarne walon ke qadmon se paemal hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close