teri talash mein jo KHud ko bhul aae the

teri talash mein jo khud ko bhul aae the
pata wo apna kabhi dhundne na pae the

kise khabar thi ki phulon mein bhi hunar hai wahi
kis ehtiyat se kanton se bach ke aae the

wo be-hisi ka tha aalam zara khabar na hui
ki raushni thi sar-e-rahguzar ki sae the

kinare dur bahut dur the tu majburan
samundaron mein hi logon ne ghar basae the

har ek bund kai bijliyon ki hamil thi
shadid barkha ne basti ke ghar jalae the

ye kaise bojh chale aae phir se palkon par
ki ek zamane par hum aaj muskurae the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close