teri ulfat mein jitni meri zillat badhti jati hai qasam hai rabb-e-izzat ki ki izzat badhti jati hai khudaya khair ho mamur-ha-e-rub miskin ki ki ab dil khol kar rone ki aadat badhti jati hai kisi ko yaad kar ke ek din khalwat mein roya tha nahin malum kyun jab se nadamat badhti jati hai kahan taqat sunane ki kise fursat hai sunne ki ki mujmal hote hote bhi hikayat badhti jati hai kahan main aur kahan teri nigah-e-lutf ai saqi khuda jaane ye kyun mujh par inayat badhti jati hai ye mera shisha-e-dil hai khazaf-reza nahin hamdam shikasta jis qadar hota hai qimat badhti jati hai idhar tahsin-e-araish ki khwahish husn-e-khud-bin ko yahan jazbaat-e-pinhan ki hifazat badhti jati hai ghazab ka jazb hai 'wasif' nigah-e-mast mein us ki manazil qata hote hain azimat badhti jati hai