teri umidon ka sath degi inayat-e-barg-o-bar kab tak bahaar hai mehrban tujh par magar rahegi bahaar kab tak jalai tu ne agar na mashal koi charagh aur dhund lenge jinhen zarurat hai raushni ki karenge wo intizar kab tak khayal-e-tausia o rifat-e-baam-o-dar ki khwahish baja hai lekin makan ka bojh sah sakegi bina-e-na-paedar kab tak tujhe guman hai ki khwab tere shikast se mawara hain shayad tujhe bachaega sang-bari se aainon ka hisar kab tak kabhi to gulzar barishon se chaman ka mahaul saf hoga faza mein phailaega kudurat hawa se udta ghubar kab tak